kuchh wote kamane ki KHatir kya KHun bahana lazim hai
kuchh vote kamāne kī ḳhātir kyā ḳhuun bahāna lāzim hai
jab baat amn kī ho har sū kyā baat baḌhānā lāzim hai
tum ahl-e-siyāsat kyā jaano ham ahl-e-qalam ke jazboñ ko
jo ḳhūn-e-jigar se likh deñ to sab kā ghabrānā lāzim hai
aḳhbār to jhūTe haiñ aksar ye ham ko kyā samjhā.eñge
kab kis ko uThānā behtar hai kab kis ko girānā lāzim hai
bātoñ kā zamāna ḳhatm huā hāthoñ kā zamāna aayā hai
dil aaj hamārā kahtā hai kuchh kar ke dikhānā lāzim hai
dīvār uThā kar maz.hab kī netā ne kursī paa.ī hai
phir ahl-e-vatan ne maanā hai dīvār girānā lāzim hai
kuchh wote kamane ki KHatir kya KHun bahana lazim hai
jab baat amn ki ho har su kya baat baDhana lazim hai
tum ahl-e-siyasat kya jaano hum ahl-e-qalam ke jazbon ko
jo KHun-e-jigar se likh den to sab ka ghabrana lazim hai
aKHbar to jhuTe hain aksar ye hum ko kya samjhaenge
kab kis ko uThana behtar hai kab kis ko girana lazim hai
baaton ka zamana KHatm hua hathon ka zamana aaya hai
dil aaj hamara kahta hai kuchh kar ke dikhana lazim hai
diwar uTha kar mazhab ki neta ne kursi pai hai
phir ahl-e-watan ne mana hai diwar girana lazim hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.