kuchh yaqin kuchh guman de maula
kuchh yaqīñ kuchh gumān de maulā
haath de āsmān de maulā
ḳhushk peḌoñ kī āḳhirī ḳhvāhish
ham pe koī machān de maulā
haath ḳhālī na lauT paa.e koī
dil kī aisī dukān de maulā
baat karnī hai mujh ko jiddat kī
ek taaza bayān de maulā
mujh ko vāpas zamīñ bulātī hai
azm de āsmān de maulā
bādaloñ se baras rahī hai aag
dhuup kā sā.ebān de maulā
ḳhauf-e-manzil nahīñ hai 'jauhar' ko
sirf sāthī javān de maulā
kuchh yaqin kuchh guman de maula
hath de aasman de maula
KHushk peDon ki aaKHiri KHwahish
hum pe koi machan de maula
hath KHali na lauT pae koi
dil ki aisi dukan de maula
baat karni hai mujh ko jiddat ki
ek taza bayan de maula
mujh ko wapas zamin bulati hai
azm de aasman de maula
baadalon se baras rahi hai aag
dhup ka saeban de maula
KHauf-e-manzil nahin hai 'jauhar' ko
sirf sathi jawan de maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.