kuchh zaban nahin khulti kaifiyat wo tari hai
kuchh zabāñ nahīñ khultī kaifiyat vo taarī hai
ḳhāmushī ke lahje meñ bāt-chīt jaarī hai
tum ko kyā ḳhabar kyā hai 'ālam-e-shab-e-furqat
jaañ ko vahshateñ lāhaq dil ko be-qarārī hai
bad-havās āñkhoñ se rāste ko taktā huuñ
kuchh samajh nahīñ aatā kis kī intizārī hai
ghūmtī hai āñkhoñ meñ ek sāñvlī sūrat
dil pe yaad kā ġhalba lab pe āh-o-zārī hai
log merī ġhazloñ meñ tum ko DhūñD lete haiñ
she’r-o-shā’erī kab hai dāstāñ tumhārī hai
jo the dil kī dil-jūī duur ho chale 'kāzim'
ab to mashġhala apnā sirf dil-figārī hai
kuchh zaban nahin khulti kaifiyat wo tari hai
KHamushi ke lahje mein baat-chit jari hai
tum ko kya KHabar kya hai 'alam-e-shab-e-furqat
jaan ko wahshaten lahaq dil ko be-qarari hai
bad-hawas aankhon se raste ko takta hun
kuchh samajh nahin aata kis ki intizari hai
ghumti hai aankhon mein ek sanwli surat
dil pe yaad ka ghalba lab pe aah-o-zari hai
log meri ghazlon mein tum ko DhunD lete hain
she’r-o-sha’eri kab hai dastan tumhaari hai
jo the dil ki dil-jui dur ho chale 'kazim'
ab to mashghala apna sirf dil-figari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.