kuchh ziyaada hi agar raKHt-e-safar rahta hai
kuchh ziyaada hi agar raKHt-e-safar rahta hai
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
kuchh ziyāda hī agar raḳht-e-safar rahtā hai
har ghaḌī raah meñ mushkil meñ bashar rahtā hai
is liye aap ko paane se maiñ kartā huuñ gurez
qīmtī chiiz ke kho jaane kā Dar rahtā hai
us kī sāñsoñ se mahaktī haiñ ka.ī din sāñseñ
us ko chhūne kā ka.ī roz asar rahtā hai
kaisā jaadū hai khulī āñkhoñ se dikhtā hī nahīñ
band kartā huuñ to vo zer-e-nazar rahtā hai
bin tire merī haqīqat to hai suunī lekin
shādmāñ tujh se ḳhayāloñ kā nagar rahtā hai
lāl-qil.a meñ koī sajtī hai jab bhī mahfil
aisā lagtā hai yahāñ ab bhī 'zafar' rahtā hai
ab guzar jaatī hai uupar se parindoñ kī qatār
nīche māyūs khaḌā sūkhā shajar rahtā hai
kuchh ziyaada hi agar raKHt-e-safar rahta hai
har ghaDi rah mein mushkil mein bashar rahta hai
is liye aap ko pane se main karta hun gurez
qimti chiz ke kho jaane ka Dar rahta hai
us ki sanson se mahakti hain kai din sansen
us ko chhune ka kai roz asar rahta hai
kaisa jadu hai khuli aankhon se dikhta hi nahin
band karta hun to wo zer-e-nazar rahta hai
bin tere meri haqiqat to hai suni lekin
shadman tujh se KHayalon ka nagar rahta hai
lal-qila mein koi sajti hai jab bhi mahfil
aisa lagta hai yahan ab bhi 'zafar' rahta hai
ab guzar jati hai upar se parindon ki qatar
niche mayus khaDa sukha shajar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.