kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan
kudūratoñ ke darmiyāñ adāvatoñ ke darmiyāñ
tamām dost ajnabī haiñ dostoñ ke darmiyāñ
shu.ūr-e-asr DhūñDhtā rahā hai mujh ko aur maiñ
magan huuñ ahd-e-raftagāñ kī azmatoñ ke darmiyāñ
ye sochte haiñ kab talak zamīr ko bachā.eñge
agar yūñhī jiyā kiye zarūratoñ ke darmiyāñ
abhī shikast kyā ki razm-e-āḳhirī ik aur hai
pukārtī hai zindagī hazīmatoñ ke darmiyāñ
zamīr-e-asr meñ kabhī nava-e-dard meñ kabhī
suḳhan-sarā to maiñ bhī huuñ sadāqatoñ ke darmiyāñ
kuduraton ke darmiyan adawaton ke darmiyan
tamam dost ajnabi hain doston ke darmiyan
shuur-e-asr DhunDhta raha hai mujh ko aur main
magan hun ahd-e-raftagan ki azmaton ke darmiyan
ye sochte hain kab talak zamir ko bachaenge
agar yunhi jiya kiye zaruraton ke darmiyan
abhi shikast kya ki razm-e-aKHiri ek aur hai
pukarti hai zindagi hazimaton ke darmiyan
zamir-e-asr mein kabhi nawa-e-dard mein kabhi
suKHan-sara to main bhi hun sadaqaton ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.