kufr ko iman bana de zindagi ai zindagi
kufr ko īmāñ banā de zindagī ai zindagī
farq-e-īn-o-āñ miTā de zindagī ai zindagī
mujh ko ik-tarfa sazā de zindagī ai zindagī
dard-e-dil ko dil banā de zindagī ai zindagī
aah ko naġhma banā de zindagī ai zindagī
merī lai meñ lai milā de zindagī ai zindagī
jab ḳhilāf-e-maslahat hai izn-e-‘arz-e-mudda.ā
ḳhud-kalāmī hī sikhā de zindagī ai zindagī
vo ajal jo fitratan hai dushman-e-husn-e-‘amal
us ko qadmoñ par jhukā de zindagī ai zindagī
jurm-e-nā-karda-gunāhī bhī hai jurm-e-nā-sazā
haañ mujhe is kī sazā de zindagī ai zindagī
mauj-e-sail-e-ġham ne jo chhīnā hai tujh se vo sukūñ
nāḳhudā de yā ḳhudā de zindagī ai zindagī
inqilāb-e-vaqt kī tū ham-qadam ho jā.egī
ye tire kāfir irāde zindagī ai zindagī
dil kī dhaḌkan baḌh rahī hai barq-raftārī ke saath
tū jo chāhe vo du'ā de zindagī ai zindagī
'umr-bhar kī sogvārī kī talāfī chāhiye
muskurā de muskurā de zindagī ai zindagī
har qadam par har nafas par terā dam bhartā huuñ maiñ
dād-e-andāz-e-vafā de zindagī ai zindagī
mere dil kī har taḌap hai be-qarārī kī dalīl
mauj sāhil-āshnā de zindagī ai zindagī
aaj tak tū ne dikhā.e haiñ jo ḳhvāb-e-nau-ba-nau
un ko ā.īna banā de zindagī ai zindagī
maiñ ne dil se shah ko nazr-e-dushman-e-jāñ kar diyā
ab sazā de yā jazā de zindagī ai zindagī
yā to ab āsān kar dushvārī-e-sa'ī-e-'urūj'
yā ise patthar banā de zindagī ai zindagī
kufr ko iman bana de zindagi ai zindagi
farq-e-in-o-an miTa de zindagi ai zindagi
mujh ko ik-tarfa saza de zindagi ai zindagi
dard-e-dil ko dil bana de zindagi ai zindagi
aah ko naghma bana de zindagi ai zindagi
meri lai mein lai mila de zindagi ai zindagi
jab KHilaf-e-maslahat hai izn-e-‘arz-e-muddaa
KHud-kalami hi sikha de zindagi ai zindagi
wo ajal jo fitratan hai dushman-e-husn-e-‘amal
us ko qadmon par jhuka de zindagi ai zindagi
jurm-e-na-karda-gunahi bhi hai jurm-e-na-saza
han mujhe is ki saza de zindagi ai zindagi
mauj-e-sail-e-gham ne jo chhina hai tujh se wo sukun
naKHuda de ya KHuda de zindagi ai zindagi
inqilab-e-waqt ki tu ham-qadam ho jaegi
ye tere kafir irade zindagi ai zindagi
dil ki dhaDkan baDh rahi hai barq-raftari ke sath
tu jo chahe wo du'a de zindagi ai zindagi
'umr-bhar ki sogwari ki talafi chahiye
muskura de muskura de zindagi ai zindagi
har qadam par har nafas par tera dam bharta hun main
dad-e-andaz-e-wafa de zindagi ai zindagi
mere dil ki har taDap hai be-qarari ki dalil
mauj sahil-ashna de zindagi ai zindagi
aaj tak tu ne dikhae hain jo KHwab-e-nau-ba-nau
un ko aaina bana de zindagi ai zindagi
main ne dil se shah ko nazr-e-dushman-e-jaan kar diya
ab saza de ya jaza de zindagi ai zindagi
ya to ab aasan kar dushwari-e-sa'i-e-'uruj'
ya ise patthar bana de zindagi ai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.