kufr-o-iman mein wahi rabt-e-nihan hai ki jo tha
kufr-o-iman mein wahi rabt-e-nihan hai ki jo tha
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
kufr-o-īmāñ meñ vahī rabt-e-nihāñ hai ki jo thā
shor-e-nāqūs meñ andāz-e-azāñ hai ki jo thā
aks terā kisī chehre meñ nahīñ miltā hai
aa.ina bazm meñ har-sū nigarāñ hai ki jo thā
nigah-o-jalva meñ baaqī hai abhī tak duurī
biich meñ parda-e-bārīk-e-gumāñ hai ki jo thā
husn aur ishq meñ ab tak hai vahī rabt-e-qadīm
ḳhūn-e-dil ġhāza-e-ruḳhsār-e-butāñ hai ki jo thā
har taraf dānish-o-dīñ kī haiñ dukāneñ 'safdar'
chaar sū ma.arka-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā
kufr-o-iman mein wahi rabt-e-nihan hai ki jo tha
shor-e-naqus mein andaz-e-azan hai ki jo tha
aks tera kisi chehre mein nahin milta hai
aaina bazm mein har-su nigaran hai ki jo tha
nigah-o-jalwa mein baqi hai abhi tak duri
bich mein parda-e-barik-e-guman hai ki jo tha
husn aur ishq mein ab tak hai wahi rabt-e-qadim
KHun-e-dil ghaza-e-ruKHsar-e-butan hai ki jo tha
har taraf danish-o-din ki hain dukanen 'safdar'
chaar su marka-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.