kufr se matlab hai na islam se
kufr se matlab hai na islām se
hai ġharaz ma.ashūq-e-ḳhush-andām se
hai ġharaz ḳhum se subū se jaam se
kaam hai ham ko mai-e-gulfām se
dafn kar ke haa.e kahtā hai koī
qabr meñ ab so raho ārām se
qāf-o-lām-o-qāf hai har dam hameñ
ḳhush adū hai vaav sād-o-lām se
kyā ġharaz aa.eñ ayādat ko vo kyuuñ
un ko kab fursat hai apne kaam se
hazrat-e-ādam jo nikle ḳhuld se
ham bhī nikle kūcha-e-asnām se
chashm-e-jānāñ kī ġhalat tashbīh hai
is ko kuchh nisbat nahīñ bādām se
jo halāvat is meñ hai us meñ kahāñ
qand phīkā hai tirī dushnām se
jaa.eñ ham kahiye to ai 'sābir' kahāñ
vāsta hai ik but-e-ḳhud-kām se
kufr se matlab hai na islam se
hai gharaz mashuq-e-KHush-andam se
hai gharaz KHum se subu se jam se
kaam hai hum ko mai-e-gulfam se
dafn kar ke hae kahta hai koi
qabr mein ab so raho aaram se
qaf-o-lam-o-qaf hai har dam hamein
KHush adu hai waw sad-o-lam se
kya gharaz aaen ayaadat ko wo kyun
un ko kab fursat hai apne kaam se
hazrat-e-adam jo nikle KHuld se
hum bhi nikle kucha-e-asnam se
chashm-e-jaanan ki ghalat tashbih hai
is ko kuchh nisbat nahin baadam se
jo halawat is mein hai us mein kahan
qand phika hai teri dushnam se
jaen hum kahiye to ai 'sabir' kahan
wasta hai ek but-e-KHud-kaam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.