kun ki manzil par ruka hai qafila taqdir ka
kun kī manzil par rukā hai qāfila taqdīr kā
bas ki hai nāqid musavvir apnī hī tasvīr kā
mil na pā.egī rihā.ī vaqt ke zindān se
sūrat-e-shām-o-sahar hai silsila zanjīr kā
zindagī apnī basar hotī hamesha ḳhvāb meñ
ḳhvāb meñ khultā nahīñ uqda agar ta.abīr kā
vāris-e-kaun-o-makāñ haiñ kahkashāñ-dar-kahkashāñ
kyoñ na ho vābasta ham se silsila tasḳhīr kā
zehn se jis dam hue the muttasil lauh-o-qalam
ho gayā thā hal vahīñ par mas.ala tadbīr kā
ḳhāma-e-dil se raqam karte rahe ahd-e-vafā
hai koī zāmin hamārī hurmat-e-tahrīr kā
zindagī meñ ham bhī rakhte sar sināñ kī nok par
jaan lete gar ishāra kātib-e-taqdīr kā
jumbish-e-abrū se us ko kar diyā zinda 'shakīl'
kāġhzī thā naqsh jo ab tak tirī tasvīr kā
kun ki manzil par ruka hai qafila taqdir ka
bas ki hai naqid musawwir apni hi taswir ka
mil na paegi rihai waqt ke zindan se
surat-e-sham-o-sahar hai silsila zanjir ka
zindagi apni basar hoti hamesha KHwab mein
KHwab mein khulta nahin uqda agar tabir ka
waris-e-kaun-o-makan hain kahkashan-dar-kahkashan
kyon na ho wabasta hum se silsila tasKHir ka
zehn se jis dam hue the muttasil lauh-o-qalam
ho gaya tha hal wahin par masala tadbir ka
KHama-e-dil se raqam karte rahe ahd-e-wafa
hai koi zamin hamari hurmat-e-tahrir ka
zindagi mein hum bhi rakhte sar sinan ki nok par
jaan lete gar ishaara katib-e-taqdir ka
jumbish-e-abru se us ko kar diya zinda 'shakil'
kaghzi tha naqsh jo ab tak teri taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.