kunDi baja ke is liye bhaga nahin hun main
kunDī bajā ke is liye bhāgā nahīñ huuñ maiñ
dikhtā nahīñ kisī ko to sochā nahīñ huuñ maiñ
pichhle baras kī baat hai kuchh log aa.e the
dastak sunī to kamre se chīḳhā nahīñ huuñ maiñ
jaane maiñ kis kā jism huuñ aur kis ke paas huuñ
DhūñDā hai ḳhud ko har jagah miltā nahīñ huuñ maiñ
le jaao mujh ko mujh se magar ek baat hai
lambe safar ke vāste achchhā nahīñ huuñ maiñ
saayā huuñ aur din Dhale bujh-vujh gayā huuñ kyā
dekhā hai aaj aa.ina dikhtā nahīñ huuñ maiñ
nāḳhun chubho ke bhāñp lo mujh meñ mirā vajūd
kitnā huuñ apne-āp meñ kitnā nahīñ huuñ maiñ
mumkin hai ye malāl tumheñ bhī fareb de
jaisā mujhe banāyā thā vaisā nahīñ huuñ maiñ
ik ik dukāñ se pūchhā ki maiñ dastiyāb huuñ
inkār sun ke bujh gayā achchhā nahīñ huuñ maiñ
kunDi baja ke is liye bhaga nahin hun main
dikhta nahin kisi ko to socha nahin hun main
pichhle baras ki baat hai kuchh log aae the
dastak suni to kamre se chiKHa nahin hun main
jaane main kis ka jism hun aur kis ke pas hun
DhunDa hai KHud ko har jagah milta nahin hun main
le jao mujh ko mujh se magar ek baat hai
lambe safar ke waste achchha nahin hun main
saya hun aur din Dhale bujh-wujh gaya hun kya
dekha hai aaj aaina dikhta nahin hun main
naKHun chubho ke bhanp lo mujh mein mera wajud
kitna hun apne-ap mein kitna nahin hun main
mumkin hai ye malal tumhein bhi fareb de
jaisa mujhe banaya tha waisa nahin hun main
ek ek dukan se puchha ki main dastiyab hun
inkar sun ke bujh gaya achchha nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.