kunisht-o-kaba mein mushtarak hai chahaar-dhamon mein mushtarak hai
kunisht-o-kaba mein mushtarak hai chahaar-dhamon mein mushtarak hai
Muhib Wafa
MORE BYMuhib Wafa
kunisht-o-kā'ba meñ mushtarak hai chahār-dhāmoñ meñ mushtarak hai
ki ik aqīdat kī rahguzar hai jo in maqāmoñ meñ mushtarak hai
badan pe koḌoñ kī zarb sahnā magar zabānoñ se kuchh na kahnā
yaqīn jaano ye vo sifat hai jo sab ġhulāmoñ meñ mushtarak hai
ujaaḌ rastoñ pe bhaTke qadmoñ kī sansanāhaT gavāhī degī
ki yās-o-hasrat kā zard mausam hamārī shāmoñ meñ mushtarak hai
mujhe kahāñ unsiyat huī thī hurūf-e-abjad kī taḳhtiyoñ se
magar vo ik harf-e-avvalīñ jo hamāre nāmoñ meñ mushtarak hai
chalo grammar bhī dekhte haiñ 'muhib' hai faa.el to fe.al kyā hai
javāb hogā yahī mohabbat jo apne kāmoñ meñ mushtarak hai
kunisht-o-ka'ba mein mushtarak hai chahaar-dhamon mein mushtarak hai
ki ek aqidat ki rahguzar hai jo in maqamon mein mushtarak hai
badan pe koDon ki zarb sahna magar zabanon se kuchh na kahna
yaqin jaano ye wo sifat hai jo sab ghulamon mein mushtarak hai
ujaD raston pe bhaTke qadmon ki sansanahaT gawahi degi
ki yas-o-hasrat ka zard mausam hamari shamon mein mushtarak hai
mujhe kahan unsiyat hui thi huruf-e-abjad ki taKHtiyon se
magar wo ek harf-e-awwalin jo hamare namon mein mushtarak hai
chalo grammar bhi dekhte hain 'muhib' hai fael to feal kya hai
jawab hoga yahi mohabbat jo apne kaamon mein mushtarak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.