kunj-e-dil mein teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin
kunj-e-dil mein teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin
Imtiyaz Ahmad Qamar
MORE BYImtiyaz Ahmad Qamar
kunj-e-dil meñ tirī chāhat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ā.ina-ḳhāna meñ hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
har qadam par muntazir majbūriyāñ mahrūmiyāñ
zindagī ḳhush-nām tohmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
pūchhte kyā ho ma.āl-e-āmad-e-fasl-e-bahār
saarā gulshan naqsh-e-ibrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
gardish-e-ayyām to nāhaq pashemāñ ho ga.ī
muskurānā merī aadat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ai 'qamar' ab jā rahā huuñ pur-sukūñ ik gaañv meñ
ab to mere paas fursat ke sivā kuchh bhī nahīñ
kunj-e-dil mein teri chahat ke siwa kuchh bhi nahin
aaina-KHana mein hairat ke siwa kuchh bhi nahin
har qadam par muntazir majburiyan mahrumiyan
zindagi KHush-nam tohmat ke siwa kuchh bhi nahin
puchhte kya ho maal-e-amad-e-fasl-e-bahaar
sara gulshan naqsh-e-ibrat ke siwa kuchh bhi nahin
gardish-e-ayyam to nahaq pasheman ho gai
muskurana meri aadat ke siwa kuchh bhi nahin
ai 'qamar' ab ja raha hun pur-sukun ek ganw mein
ab to mere pas fursat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.