kunj-e-tanhai ke afkar mein kya rakkha hai
kunj-e-tanhā.ī ke afkār meñ kyā rakkhā hai
zikr-e-zulf-o-lab-o-ruḳhsār meñ kyā rakkhā hai
ai ġham-e-zīst tirā saath ġhanīmat hai mujhe
varna ab sirf ġham-e-yār meñ kyā rakkhā hai
pahle hī khul gayā inkār se mahfil kā bharam
aur ab aap ke iqrār meñ kyā rakkhā hai
marhabā azm-e-javāñ le ke nikalne vaalo
is jahāñ ke rasan-o-dār meñ kyā rakkhā hai
apne jab ho na sake ġhair kī ham samt chale
varna is kūcha-e-aġhyār meñ kyā rakkhā hai
kal talak aap ke qābil thā yahī dil 'sābir'
haañ magar ik dil-e-bīmār meñ kyā rakkhā hai
kunj-e-tanhai ke afkar mein kya rakkha hai
zikr-e-zulf-o-lab-o-ruKHsar mein kya rakkha hai
ai gham-e-zist tera sath ghanimat hai mujhe
warna ab sirf gham-e-yar mein kya rakkha hai
pahle hi khul gaya inkar se mahfil ka bharam
aur ab aap ke iqrar mein kya rakkha hai
marhaba azm-e-jawan le ke nikalne walo
is jahan ke rasan-o-dar mein kya rakkha hai
apne jab ho na sake ghair ki hum samt chale
warna is kucha-e-aghyar mein kya rakkha hai
kal talak aap ke qabil tha yahi dil 'sabir'
han magar ek dil-e-bimar mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.