kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai
kunj-e-tanhā.ī meñ rakkhā huā rah jaatā hai
dil ki siine meñ uchhaltā huā rah jaatā hai
jumbish-e-chashm se duniyā hī badal jaatī hai
aur mirī aañkh meñ sochā huā rah jaatā hai
ab to aisā hai ki āñkhoñ ko agar khol bhī luuñ
dil kisī ḳhvāb meñ lipTā huā rah jaatā hai
likh to lete haiñ tirā naam ba-sad shauq magar
kyā kabhī ret pe likkhā huā rah jaatā hai
kuchh chalā jaatā hai dariyāoñ ke hamrāh ye dil
kuchh rag-e-jāñ meñ hī bahtā huā rah jaatā hai
us kī yādoñ ko dil-o-jān se ruḳhsat karnā
kaam aisā hai ki hotā huā rah jaatā hai
maiñ to lauT aatā huuñ har shaam ko ghar meñ lekin
dil kisī raah pe chaltā huā rah jaatā hai
kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai
dil ki sine mein uchhalta hua rah jata hai
jumbish-e-chashm se duniya hi badal jati hai
aur meri aankh mein socha hua rah jata hai
ab to aisa hai ki aankhon ko agar khol bhi lun
dil kisi KHwab mein lipTa hua rah jata hai
likh to lete hain tera nam ba-sad shauq magar
kya kabhi ret pe likkha hua rah jata hai
kuchh chala jata hai dariyaon ke hamrah ye dil
kuchh rag-e-jaan mein hi bahta hua rah jata hai
us ki yaadon ko dil-o-jaan se ruKHsat karna
kaam aisa hai ki hota hua rah jata hai
main to lauT aata hun har sham ko ghar mein lekin
dil kisi rah pe chalta hua rah jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.