kunThaen daman mein chhupae trishnaon ki pyas liye
kunThā.eñ dāman meñ chhupā.e trishnāoñ kī pyaas liye
bādal shahr-shahr phirte haiñ ab shāyad sannyās liye
ai marghaT kī shānt chitāo tum ne kyā mahsūs kiyā
uThtī haiñ duniyā se lāsheñ āḳhir kyā vishvās liye
raah dikhāo mast havāoñ ko sunsān jazīroñ kī
ye āvāra ghuum rahī haiñ jaane kaisī yaas liye
shīshe se mil kar kyā hogā chūr-chūr ho jā.ūñgā
patthar huuñ dānista maiñ ne janam-janam ban-bās liye
soch rahā huuñ duub na jaa.e baaḌh ke bahte paanī meñ
kashtī meñ baiThā vo musāfir mallāhoñ kī aas liye
gahrā.ī meñ jhāñk ke dekho 'ashk' bahut kuchh pāoge
apnā apnā duniyā meñ sab chīzeñ haiñ itihās liye
kunThaen daman mein chhupae trishnaon ki pyas liye
baadal shahr-shahr phirte hain ab shayad sannyas liye
ai marghaT ki shant chitao tum ne kya mahsus kiya
uThti hain duniya se lashen aaKHir kya wishwas liye
rah dikhao mast hawaon ko sunsan jaziron ki
ye aawara ghum rahi hain jaane kaisi yas liye
shishe se mil kar kya hoga chur-chur ho jaunga
patthar hun danista main ne janam-janam ban-bas liye
soch raha hun dub na jae baDh ke bahte pani mein
kashti mein baiTha wo musafir mallahon ki aas liye
gahrai mein jhank ke dekho 'ashk' bahut kuchh paoge
apna apna duniya mein sab chizen hain itihas liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.