kurra-e-arz ko tarik bana dena tha
kurra-e-arz ko tārīk banā denā thā
hijr kī shab meñ sitāroñ ko bujhā denā thā
kitnī dahshat hai mire shahr meñ sannāTe kī
naḳhl-e-āvāz yahāñ bhī to lagā denā thā
tū ki maujūd agar misl-e-havā sehn meñ thā
shajar-e-jāmid-o-sākit ko hilā denā thā
pur-sukūñ kab se mire dil kā hai sahrā-e-sukūt
aa ke is meñ bhī kabhī hashr uThā denā thā
husn ke manzar-e-saffāk nazar aate saaf
parda-e-ḳhvāb ko āñkhoñ se haTā denā thā
rañg kuchh sub.h-e-qayāmat kā alag hī hotā
chehra-e-mehr se bhī rañg uḌā denā thā
kurra-e-arz ko tarik bana dena tha
hijr ki shab mein sitaron ko bujha dena tha
kitni dahshat hai mere shahr mein sannaTe ki
naKHl-e-awaz yahan bhi to laga dena tha
tu ki maujud agar misl-e-hawa sehn mein tha
shajar-e-jamid-o-sakit ko hila dena tha
pur-sukun kab se mere dil ka hai sahra-e-sukut
aa ke is mein bhi kabhi hashr uTha dena tha
husn ke manzar-e-saffak nazar aate saf
parda-e-KHwab ko aankhon se haTa dena tha
rang kuchh subh-e-qayamat ka alag hi hota
chehra-e-mehr se bhi rang uDa dena tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.