kushta-e-yas hun ummid se kya kaam mujhe
kushta-e-yās huuñ ummīd se kyā kaam mujhe
na taḌap aur na taḌpā dil-e-nākām mujhe
bāġh-e-ālam meñ vo mānūs-e-giraftārī huuñ
lutf miltā hai nasheman kā tah-e-dām mujhe
huuñ vo barbād ki qismat meñ nasheman na qafas
chal diyā chhoḌ ke sayyād tah-e-dām mujhe
maiñ ne dekhe haiñ bahut ḳhūn-e-tamannā ke rang
sāqiyā de na fareb-e-mai-e-gul-fām mujhe
kis ko degī ġham-o-andoh mirī qismat kā
tū miTā.egī agar gardish-e-ayyām mujhe
paate haiñ dard kī tāsīr isī naam se sher
bā.is-e-faḳhr hai 'mahrūm' mirā naam mujhe
kushta-e-yas hun ummid se kya kaam mujhe
na taDap aur na taDpa dil-e-nakaam mujhe
bagh-e-alam mein wo manus-e-giraftari hun
lutf milta hai nasheman ka tah-e-dam mujhe
hun wo barbaad ki qismat mein nasheman na qafas
chal diya chhoD ke sayyaad tah-e-dam mujhe
main ne dekhe hain bahut KHun-e-tamanna ke rang
saqiya de na fareb-e-mai-e-gul-fam mujhe
kis ko degi gham-o-andoh meri qismat ka
tu miTaegi agar gardish-e-ayyam mujhe
pate hain dard ki tasir isi nam se sher
bais-e-faKHr hai 'mahrum' mera nam mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.