kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe
kushūd-e-kār kī ḳhātir ḳhudā badalte rahe
charāġh-e-nazr the har āstāñ pe chalte rahe
faqīr-e-'ishq haiñ apnā koī Thikānā hai kyā
havā meñ uḌte rahe pāniyoñ pe chalte rahe
ham ahl-e-dil ne chhuā tak nahīñ kabhī koī phuul
havā-parast magar toḌte masalte rahe
phisal ke tum bhī 'abas sun ga.e hamāre saath
hameñ to yuuñ bhī phisalnā thā so phisalte rahe
na us ke lams kī garmī na us ke qurb kī aañch
tasavvur us kā thā aisā ki bas pighalte rahe
vo ik jagah na kahīñ rah sakā aur us ke saath
kirāya-dār the ham bhī makāñ badalte rahe
kushud-e-kar ki KHatir KHuda badalte rahe
charagh-e-nazr the har aastan pe chalte rahe
faqir-e-'ishq hain apna koi Thikana hai kya
hawa mein uDte rahe paniyon pe chalte rahe
hum ahl-e-dil ne chhua tak nahin kabhi koi phul
hawa-parast magar toDte masalte rahe
phisal ke tum bhi 'abas sun gae hamare sath
hamein to yun bhi phisalna tha so phisalte rahe
na us ke lams ki garmi na us ke qurb ki aanch
tasawwur us ka tha aisa ki bas pighalte rahe
wo ek jagah na kahin rah saka aur us ke sath
kiraya-dar the hum bhi makan badalte rahe
- Book : Sehmaahi Aamad (Pg. 122)
- Author : Azeema Firdausi
- Publication : Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna (Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013)
- Edition : Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.