ku-ba-ku fitrat-e-ahu liye phirti hai mujhe
kū-ba-kū fitrat-e-āhū liye phirtī hai mujhe
muztarib apnī hī ḳhushbū liye phirtī hai mujhe
vahshat-e-dil kā sabab ḳhud mirā apnā-pan hai
mere andar se uThī hū liye phirtī hai mujhe
chāñd-rātoñ meñ kahīñ aks koī dekhā thā
ek vahshat sī lab-e-jū liye phirtī hai mujhe
mausam-e-gul se ta.āruf kā natīja ma.alūm
shabnam ab sūrat-e-āñsū liye phirtī hai mujhe
juzv huuñ kul meñ samā.ūñ to qarār aa jaa.e
ek tafrīq-e-man-o-tū liye phirtī hai mujhe
ku-ba-ku fitrat-e-ahu liye phirti hai mujhe
muztarib apni hi KHushbu liye phirti hai mujhe
wahshat-e-dil ka sabab KHud mera apna-pan hai
mere andar se uThi hu liye phirti hai mujhe
chand-raaton mein kahin aks koi dekha tha
ek wahshat si lab-e-ju liye phirti hai mujhe
mausam-e-gul se taaruf ka natija malum
shabnam ab surat-e-ansu liye phirti hai mujhe
juzw hun kul mein samaun to qarar aa jae
ek tafriq-e-man-o-tu liye phirti hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.