ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai
ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
kū-ba-kū sahrā-ba-sahrā dar-ba-dar kī baat hai
zindagī kyā hai ye rūdād-e-safar kī baat hai
kyā zarūrī hai har ik manzil ko ham manzil kaheñ
ye to apne apne andāz-e-nazar kī baat hai
vo to dīvāna thā ai dānishvaro phir kis liye
sab ke hoñToñ par usī āshufta-sar kī baat hai
hādsoñ ko ham-safar apnā jo samjhe rāh-rau
ye jahāñ us ke liye gard-e-safar kī baat hai
dāstāñ TuuTe hue shīshe kī kiije kyā raqam
shīsha se nāzuk ziyāda shīshagar kī baat hai
ham ne jhelī haiñ mohazzab zindagī kī saḳhtiyāñ
ham se pūchho is meñ kitne dard-e-sar kī baat hai
apne ghar meñ bhī sukūñ se aaj rahnā hai muhāl
chup raho sun legā koī apne ghar kī baat hai
dostoñ se mil ke ab 'nāshād' hotā hai gumāñ
mere andar bhī koī shāyad hunar kī baat hai
ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai
zindagi kya hai ye rudad-e-safar ki baat hai
kya zaruri hai har ek manzil ko hum manzil kahen
ye to apne apne andaz-e-nazar ki baat hai
wo to diwana tha ai danishwaro phir kis liye
sab ke honTon par usi aashufta-sar ki baat hai
hadson ko ham-safar apna jo samjhe rah-rau
ye jahan us ke liye gard-e-safar ki baat hai
dastan TuTe hue shishe ki kije kya raqam
shisha se nazuk ziyaada shishagar ki baat hai
hum ne jheli hain mohazzab zindagi ki saKHtiyan
hum se puchho is mein kitne dard-e-sar ki baat hai
apne ghar mein bhi sukun se aaj rahna hai muhaal
chup raho sun lega koi apne ghar ki baat hai
doston se mil ke ab 'nashad' hota hai guman
mere andar bhi koi shayad hunar ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.