ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekha
kū-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhā
ham ne naqsh-e-qadam-e-yār ko chalte dekhā
haa.e kyā haal dam-e-vasl hamārā hogā
bosa lene meñ tumheñ rañg badalte dekhā
abr ban kar jo baras paḌne ko aayā vaa.iz
be-tarah ham ne ḳhum-e-mai ko ubalte dekhā
ye bhī piinā hai koī chaal hai ye bhī koī
har-qadam par unheñ sau baar sambhalte dekhā
yahī āñkheñ haiñ ki jin meñ nahīñ ab naam ko ashk
inhīñ āñkhoñ se kabhī ḳhuun ubalte dekhā
hashr ke roz na taab abr-e-karam ko aa.ī
mujh gunahgār ko jab dhuup meñ jalte dekhā
gesū-e-hūr kaho sabza-e-turbat kaisā
qabr-e-dushman se dhuāñ ham ne nikalte dekhā
kūcha-e-ishq meñ allāh re pā-mardī-e-dil
Thokareñ khā ke use ham ne sambhalte dekhā
ġhair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the
rukte dekhā tumheñ phir chhup ke nikalte dekhā
dil meñ kyā jaan thī kyā qatra-e-ḳhūñ kī thī bisāt
malte dekhā use hāthoñ se masalte dekhā
phuul laale kā khilā thā ki shafaq shaam kī thī
vasl kī raat ko bhī rañg badalte dekhā
kabhī kuchh raat ga.e yā kabhī kuchh raat rahe
ham ne in parda-nashīnoñ ko nikalte dekhā
ḳhūn-e-dil par hai abas rashk tirī mehñdī ko
apnī hī aag meñ ham ne use jalte dekhā
dil-e-betāb thā yā aag kī chiñgārī thī
kis qadar jild unheñ pā-posh se malte dekhā
vaah kyā rañg hai kyā ḳhuub tabī.at hai 'riyāz'
ho zamīñ koī tumheñ phūlte-phalte dekhā
ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekha
hum ne naqsh-e-qadam-e-yar ko chalte dekha
hae kya haal dam-e-wasl hamara hoga
bosa lene mein tumhein rang badalte dekha
abr ban kar jo baras paDne ko aaya waiz
be-tarah hum ne KHum-e-mai ko ubalte dekha
ye bhi pina hai koi chaal hai ye bhi koi
har-qadam par unhen sau bar sambhalte dekha
yahi aankhen hain ki jin mein nahin ab nam ko ashk
inhin aankhon se kabhi KHun ubalte dekha
hashr ke roz na tab abr-e-karam ko aai
mujh gunahgar ko jab dhup mein jalte dekha
gesu-e-hur kaho sabza-e-turbat kaisa
qabr-e-dushman se dhuan hum ne nikalte dekha
kucha-e-ishq mein allah re pa-mardi-e-dil
Thokaren kha ke use hum ne sambhalte dekha
ghair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the
rukte dekha tumhein phir chhup ke nikalte dekha
dil mein kya jaan thi kya qatra-e-KHun ki thi bisat
malte dekha use hathon se masalte dekha
phul lale ka khila tha ki shafaq sham ki thi
wasl ki raat ko bhi rang badalte dekha
kabhi kuchh raat gae ya kabhi kuchh raat rahe
hum ne in parda-nashinon ko nikalte dekha
KHun-e-dil par hai abas rashk teri mehndi ko
apni hi aag mein hum ne use jalte dekha
dil-e-betab tha ya aag ki chingari thi
kis qadar jild unhen pa-posh se malte dekha
wah kya rang hai kya KHub tabiat hai 'riyaz'
ho zamin koi tumhein phulte-phalte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.