ku-e-jaanan mujhse hargiz itni begana na ho
kū-e-jānāñ mujh se hargiz itnī begāna na ho
ain mumkin hai ki phir terī taraf aanā na ho
ain mumkin hai ki dohrā.ūñ hadīs-e-dīgarāñ
aaj jo merī zabāñ par hai vo afsāna na ho
ain mumkin hai ki jā pahuñchūñ kisī mirrīḳh par
is zamīñ se koī rishta koī yārāna na ho
pīr-e-mai-ḳhāna ye mumkin hai ki merā jā-nashīñ
riñd ho par vāqif-e-ādāb-e-mai-ḳhāna na ho
tū mujhe farzāngī kā fan na sikhlā ai ḳhirad
ain mumkin hai ki mujh sā koī dīvāna na ho
ain mumkin hai ki maiñ tujh se bichhaḌ jaane ke ba.ad
aisā ban jā.ūñ ki ḳhud terī jise parvā na ho
ain mumkin hai ki terī be-ruḳhī ko dekh kar
maiñ vo kāfir huuñ jo mas.hūr-e-ruḳh-e-zebā na ho
soch mat ai dost tere ba.ad kyā hogā ye soch
ya.anī mere ba.ad phir mujh sā koī paidā na ho
phir na uTThe koī aarif merī vaz.a-e-ḳhās kā
aur mujh sā shā.ir-e-sarshār-o-hosh-afzā na ho
ya.anī mere ba.ad koī mard-e-hikmat-āfrīñ
manzar-e-hikmat pe aa.e aur farzāna na ho
mujh ko tark-e-dostī ke is qadar ta.ane na de
maiñ tirā dushman nazar aane lagūñ aisā na ho
phir kahe detā kahe detā kahe detā huuñ maiñ
kū-e-jānāñ mujh se hargiz itnī begāna na ho
ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho
ain mumkin hai ki phir teri taraf aana na ho
ain mumkin hai ki dohraun hadis-e-digaran
aaj jo meri zaban par hai wo afsana na ho
ain mumkin hai ki ja pahunchun kisi mirriKH par
is zamin se koi rishta koi yarana na ho
pir-e-mai-KHana ye mumkin hai ki mera ja-nashin
rind ho par waqif-e-adab-e-mai-KHana na ho
tu mujhe farzangi ka fan na sikhla ai KHirad
ain mumkin hai ki mujh sa koi diwana na ho
ain mumkin hai ki main tujh se bichhaD jaane ke baad
aisa ban jaun ki KHud teri jise parwa na ho
ain mumkin hai ki teri be-ruKHi ko dekh kar
main wo kafir hun jo mashur-e-ruKH-e-zeba na ho
soch mat ai dost tere baad kya hoga ye soch
yani mere baad phir mujh sa koi paida na ho
phir na uTThe koi aarif meri waza-e-KHas ka
aur mujh sa shair-e-sarshaar-o-hosh-afza na ho
yani mere baad koi mard-e-hikmat-afrin
manzar-e-hikmat pe aae aur farzana na ho
mujh ko tark-e-dosti ke is qadar tane na de
main tera dushman nazar aane lagun aisa na ho
phir kahe deta kahe deta kahe deta hun main
ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho
- Book : Hikayat-e-ne (Pg. 36)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est, krachis (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.