ku-e-qatil se jo guzrega bikhar jaega
kū-e-qātil se jo guzregā bikhar jā.egā
par yahāñ ḳhauf kise hai ki vo mar jā.egā
shahriyat ke jahāñ aa.iin se chhin jaa.eñ huqūq
aisī tarmīm se kyā mulk sañvar jā.egā
haq kī āvāz meñ āvāz milāte chaliye
kārvāñ baḌhtā rahegā ye jidhar jā.egā
chal rahe haiñ jo añdheroñ se muqābil ho kar
āḳhir-e-shab inheñ paiġhām-e-sahar jā.egā
aaj bhī us ko himāyat hai ḳhudā kī hāsil
ban ke mish.al jo sar-e-rāh-guzar jā.egā
jo jalā.eñge charāġhoñ ko lahū se apne
un ke hamrāh ujāloñ kā asar jā.egā
jo qadam uTThegā ahkām-e-haqīqat pe 'tarāz'
us kī manzil pe ye anvār-e-safar jā.egā
ku-e-qatil se jo guzrega bikhar jaega
par yahan KHauf kise hai ki wo mar jaega
shahriyat ke jahan aain se chhin jaen huquq
aisi tarmim se kya mulk sanwar jaega
haq ki aawaz mein aawaz milate chaliye
karwan baDhta rahega ye jidhar jaega
chal rahe hain jo andheron se muqabil ho kar
aaKHir-e-shab inhen paigham-e-sahar jaega
aaj bhi us ko himayat hai KHuda ki hasil
ban ke mishal jo sar-e-rah-guzar jaega
jo jalaenge charaghon ko lahu se apne
un ke hamrah ujalon ka asar jaega
jo qadam uTThega ahkaam-e-haqiqat pe 'taraaz'
us ki manzil pe ye anwar-e-safar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.