ku-e-zulmat se suraj ka guzar hone tak
kū-e-zulmāt se sūraj kā guzar hone tak
kitne pāmāl hue ḳhvāb sahar hone tak
TimTimāte hue jugnū kā hai ehsān baḌā
jis kī manzūr-e-nazar huuñ maiñ sahar hone tak
biij aur paude kī mābain thī bandish kitnī
phuul phal banñe talak aur shajar hone tak
tū nahīñ pighlegā patthar bhī pighal jā.egā
merī bātoñ kā tire dil pe asar hone tak
ek sher aur sahī āñkhoñ se Tapke ai 'shafīq'
ik ġhazal aur sahī ḳhūn-e-jigar hone tak
ku-e-zulmat se suraj ka guzar hone tak
kitne pamal hue KHwab sahar hone tak
TimTimate hue jugnu ka hai ehsan baDa
jis ki manzur-e-nazar hun main sahar hone tak
bij aur paude ki mabain thi bandish kitni
phul phal banne talak aur shajar hone tak
tu nahin pighlega patthar bhi pighal jaega
meri baaton ka tere dil pe asar hone tak
ek sher aur sahi aankhon se Tapke ai 'shafiq'
ek ghazal aur sahi KHun-e-jigar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.