kucha-e-dida-waran mein dar-e-tasir ke pas
kūcha-e-dīda-varāñ meñ dar-e-tāsīr ke paas
sīkhne jā.iye ādāb-e-suḳhan miir ke paas
raas aa.ī na rihā.ī tire dīvāne ko
der tak baiTh ke royā kiyā zanjīr ke paas
ab mire shahr ke logoñ se lahū māñge hai
raushnā.ī na rahī kātib-e-taqdīr ke paas
dil ke mānind dhaḌakne lagā har ġhuncha-e-surḳh
shāḳh-e-gul ham ne jo rakh dī tirī tasvīr ke paas
raunaq-e-maikada-e-ġhālib-o-ḳhusro taslīm
baiThiye chal ke zarā der ko ab miir ke paas
kucha-e-dida-waran mein dar-e-tasir ke pas
sikhne jaiye aadab-e-suKHan mir ke pas
ras aai na rihai tere diwane ko
der tak baiTh ke roya kiya zanjir ke pas
ab mere shahr ke logon se lahu mange hai
raushnai na rahi katib-e-taqdir ke pas
dil ke manind dhaDakne laga har ghuncha-e-surKH
shaKH-e-gul hum ne jo rakh di teri taswir ke pas
raunaq-e-maikada-e-ghaalib-o-KHusro taslim
baiThiye chal ke zara der ko ab mir ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.