kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak
kūcha-e-tamannā se kār-gāh-e-āzar tak
sañg sañg milte haiñ vaqt ke payambar tak
kaam kī ḳharābī se naam Duub jaate haiñ
gāliyoñ kī zad meñ haiñ qātiloñ ke ḳhanjar tak
intizār karte haiñ log kyoñ masīhā kā
fāsla nazar kā hai zaḳhm-e-dil se nashtar tak
tishnagī kā ruumā hai ab unhīñ ke hoñToñ par
jo sulagtī rātoñ meñ pī ga.e samundar tak
jo ghaTā.eñ bo kar bhī tishnagī ugātā hai
us kī nā-murādī par hañs diyā muqaddar tak
ḳhud ko maan lo yūsuf is liye nahīñ hai ye
aa.ine kī sīḌhī se pahuñchiye sikandar tak
un ke paañv ke nīche maah TuuT jaatā hai
tum ki aa nahīñ sakte apne ghar ke 'aḳhtar' tak
kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak
sang sang milte hain waqt ke payambar tak
kaam ki KHarabi se nam Dub jate hain
galiyon ki zad mein hain qatilon ke KHanjar tak
intizar karte hain log kyon masiha ka
fasla nazar ka hai zaKHm-e-dil se nashtar tak
tishnagi ka ruma hai ab unhin ke honTon par
jo sulagti raaton mein pi gae samundar tak
jo ghaTaen bo kar bhi tishnagi ugata hai
us ki na-muradi par hans diya muqaddar tak
KHud ko man lo yusuf is liye nahin hai ye
aaine ki siDhi se pahunchiye sikandar tak
un ke panw ke niche mah TuT jata hai
tum ki aa nahin sakte apne ghar ke 'aKHtar' tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.