kucha-e-yar mein gadai ki
kūcha-e-yār meñ gadā.ī kī
ik yahī kaam kī kamā.ī kī
haa.e vo intizār ke lamhe
aah ye sā.ateñ judā.ī kī
ham ne husn-e-adā kahā is ko
jab kabhī tū ne kaj-adā.ī kī
dosto dekh bhaal kar chalnā
saḳht manzil hai āshnā.ī kī
shaiḳh-sāhab ḳhudā hī ban baiThe
hai burī chaaT pārsā.ī kī
rañg-e-'hasrat' meñ aaj ai 'kausar'
ḳhuub tū ne ġhazal-sarā.ī kī
kucha-e-yar mein gadai ki
ek yahi kaam ki kamai ki
hae wo intizar ke lamhe
aah ye saaten judai ki
hum ne husn-e-ada kaha is ko
jab kabhi tu ne kaj-adai ki
dosto dekh bhaal kar chalna
saKHt manzil hai aashnai ki
shaiKH-sahab KHuda hi ban baiThe
hai buri chaT parsai ki
rang-e-'hasrat' mein aaj ai 'kausar'
KHub tu ne ghazal-sarai ki
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 179)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.