kucha-e-yar mein kuchh dur chale jate hain
kūcha-e-yār meñ kuchh duur chale jaate haiñ
ham tabī.at se haiñ majbūr chale jaate haiñ
ham kahāñ jaate haiñ ye bhī hameñ ma.alūm nahīñ
bāda-e-ishq se maḳhmūr chale jaate haiñ
garche aapas meñ vo ab rasm-e-mohabbat na rahī
toḌ-joḌ un ke ba-dastūr chale jaate haiñ
baiThe baiThe jo dil apnā kabhī ghabrātā hai
sair karne ko sar-e-tūr chale jaate haiñ
qais o farhād ke marne kā zamāna guzrā
aaj tak ishq ke mazkūr chale jaate haiñ
kucha-e-yar mein kuchh dur chale jate hain
hum tabiat se hain majbur chale jate hain
hum kahan jate hain ye bhi hamein malum nahin
baada-e-ishq se maKHmur chale jate hain
garche aapas mein wo ab rasm-e-mohabbat na rahi
toD-joD un ke ba-dastur chale jate hain
baiThe baiThe jo dil apna kabhi ghabraata hai
sair karne ko sar-e-tur chale jate hain
qais o farhad ke marne ka zamana guzra
aaj tak ishq ke mazkur chale jate hain
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 142)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.