kucha-gardi mein jawani jaegi
kūcha-gardī meñ javānī jā.egī
ḳhaak ho kar zindagānī jā.egī
miT nahīñ saktā hamāre dil kā daaġh
qabr meñ bhī ye nishānī jā.egī
sach hai merī baat kā kyā e'tibār
sach kahūñgā jhuuT jaanī jā.egī
hazrat-e-'dil' jab buḌhāpā aa.egā
ḳhair-maqdam ko javānī jā.egī
kucha-gardi mein jawani jaegi
KHak ho kar zindagani jaegi
miT nahin sakta hamare dil ka dagh
qabr mein bhi ye nishani jaegi
sach hai meri baat ka kya e'tibar
sach kahunga jhuT jaani jaegi
hazrat-e-'dil' jab buDhapa aaega
KHair-maqdam ko jawani jaegi
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 323)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.