kucha kucha ghum ke dekha baat to itni jaani hai
kucha kucha ghum ke dekha baat to itni jaani hai
Faiz Tabassum Tonsvi
MORE BYFaiz Tabassum Tonsvi
kūcha kūcha ghuum ke dekhā baat to itnī jaanī hai
jitnā jitnā shahr baḌā hai utnī hī vīrānī hai
dil ke kāran is duniyā meñ kitne ghaav khaa.e haiñ
lekin jab bhī mauqa aaya baat usī kī maanī hai
ye sansār hai gahrā sāgar is ke andar motī haiñ
sāhil par tum motī DhūñDo ye to baḌī nādānī hai
yuuñ to is jīvan kā pal pal ek suhānā sapnā hai
manmohan albelā sājan is meñ ek javānī hai
in āñkhoñ ne aaj na-jāne kaisā manzar dekhā hai
aaj mirā dil dhaḌak rahā hai aaj baḌī hairānī hai
aivānoñ meñ rahne vaalo kuTiyāoñ par ek nazar
māl-o-manāl kī qīmat kyā hai ye duniyā to faanī hai
uljhāo pe uljhāo haiñ us hastī kī bastī meñ
ek tavīl bakheḌā hai ye ek ajiib kahānī hai
man mandir meñ 'faiz' hamāre mela hai kanyāoñ kā
har sūrat ik mūrat hai aur har tasvīr suhānī hai
kucha kucha ghum ke dekha baat to itni jaani hai
jitna jitna shahr baDa hai utni hi virani hai
dil ke karan is duniya mein kitne ghaw khae hain
lekin jab bhi mauqa aaya baat usi ki mani hai
ye sansar hai gahra sagar is ke andar moti hain
sahil par tum moti DhunDo ye to baDi nadani hai
yun to is jiwan ka pal pal ek suhana sapna hai
manmohan albela sajan is mein ek jawani hai
in aankhon ne aaj na-jaane kaisa manzar dekha hai
aaj mera dil dhaDak raha hai aaj baDi hairani hai
aiwanon mein rahne walo kuTiyaon par ek nazar
mal-o-manal ki qimat kya hai ye duniya to fani hai
uljhao pe uljhao hain us hasti ki basti mein
ek tawil bakheDa hai ye ek ajib kahani hai
man mandir mein 'faiz' hamare mela hai kanyaon ka
har surat ek murat hai aur har taswir suhani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.