kūcha kūcha kis kī ye tasvīr thī
shohratoñ meñ maut kī tafsīr thī
dil kā ujlā-pan añdherā le gayā
jism kī saarī fazā gambhīr thī
darmiyānī fāsle tai ho ga.e
chāhatoñ ke paañv meñ zanjīr thī
mausamoñ ke haath hai kis kā lahū
rut badalne meñ abhī tāḳhīr thī
thā ġhubār-ālūd shāhī tumtarāq
zang-ḳhurda har nazar shamshīr thī
maslahat-āmez thī 'ġhālib' kī chup
har taraf goyā sadā-e-'mīr' thī
sar jhukā.e thī bulandī bhī 'sabā'
sāf-goī meñ baḌī tāsīr thī
kucha kucha kis ki ye taswir thi
shohraton mein maut ki tafsir thi
dil ka ujla-pan andhera le gaya
jism ki sari faza gambhir thi
darmiyani fasle tai ho gae
chahaton ke panw mein zanjir thi
mausamon ke hath hai kis ka lahu
rut badalne mein abhi taKHir thi
tha ghubar-alud shahi tumtaraq
zang-KHurda har nazar shamshir thi
maslahat-amez thi 'ghaalib' ki chup
har taraf goya sada-e-'mir' thi
sar jhukae thi bulandi bhi 'saba'
saf-goi mein baDi tasir thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.