kucha-ba-kucha taza hawaon ka kal hai
kūcha-ba-kūcha taaza havāoñ kā kaal hai
is shahr meñ to saañs bhī lenā muhāl hai
uThtā hai jo bhī abr barastā hai dasht par
mausam ko mere shahr kā kitnā ḳhayāl hai
ye mauj-e-tah-nashīñ to baḌā kaam kar ga.ī
samjhe hue the ham ki ubharnā muhāl hai
rakhe haiñ ḳhvāhishāt ne jab se yahāñ qadam
dil sabza-e-chaman kī tarah pā.emāl hai
milne ke aaj us ke haiñ andāz hī kuchh aur
bichhḌegā 'umr-bhar ke liye ehtimāl hai
hālāt ghar yahī haiñ to phir merī ruuh kā
mere badan kī qaid meñ rahnā muhāl hai
kucha-ba-kucha taza hawaon ka kal hai
is shahr mein to sans bhi lena muhaal hai
uThta hai jo bhi abr barasta hai dasht par
mausam ko mere shahr ka kitna KHayal hai
ye mauj-e-tah-nashin to baDa kaam kar gai
samjhe hue the hum ki ubharna muhaal hai
rakhe hain KHwahishat ne jab se yahan qadam
dil sabza-e-chaman ki tarah paemal hai
milne ke aaj us ke hain andaz hi kuchh aur
bichhDega 'umr-bhar ke liye ehtimal hai
haalat ghar yahi hain to phir meri ruh ka
mere badan ki qaid mein rahna muhaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.