kuche mein un ke jaana mana ki pur-KHatar hai
kūche meñ un ke jaanā maanā ki pur-ḳhatar hai
mūsal se kyoñ Dareñ ham jab okhlī meñ sar hai
taqdīr kā sitāra kitnā 'urūj par hai
nazroñ meñ māh-pāra pahlū meñ nīlufar hai
tum ne maTar pulāv kaisā banāyā begam
chāval to gal ga.e haiñ kachchī magar maTar hai
dil meñ samā na paa.e bhārī vujūd terā
bāñhoñ meñ kaise aa.e moTī tirī kamar hai
har baar ham ne sochā us ko gale lagā.eñ
bach bach ke bhaag niklā chālāk kis qadar hai
rāh-e-vafā meñ us ko 'iqbāl' kaise pakḌūñ
maiñ pichhle moḌ par huuñ vo agle moḌ par hai
kuche mein un ke jaana mana ki pur-KHatar hai
musal se kyon Daren hum jab okhli mein sar hai
taqdir ka sitara kitna 'uruj par hai
nazron mein mah-para pahlu mein nilufar hai
tum ne maTar pulaw kaisa banaya begam
chawal to gal gae hain kachchi magar maTar hai
dil mein sama na pae bhaari wujud tera
banhon mein kaise aae moTi teri kamar hai
har bar hum ne socha us ko gale lagaen
bach bach ke bhag nikla chaalak kis qadar hai
rah-e-wafa mein us ko 'iqbaal' kaise pakDun
main pichhle moD par hun wo agle moD par hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.