kuche mein uske bhiD thi bazar ki tarah
kūche meñ us ke bhiiḌ thī bāzār kī tarah
lalchā.ī har nazar thī ḳharīdār kī tarah
us kā vajūd ek pahelī se kam nahīñ
iqrār bhī vo kartā hai inkār kī tarah
dil ke siyāh daaġh na dho.oge jab talak
chhupte phiroge yūñhī gunahgār kī tarah
ik ajnabī ne aa ke fazā ko badal diyā
bastī pe chhā gayā hai vo asrār kī tarah
ye bhī 'ra.īs' apne muqaddar kī baat hai
milne ko vo mile bhī to aġhyār kī tarah
kuche mein us ke bhiD thi bazar ki tarah
lalchai har nazar thi KHaridar ki tarah
us ka wajud ek paheli se kam nahin
iqrar bhi wo karta hai inkar ki tarah
dil ke siyah dagh na dhooge jab talak
chhupte phiroge yunhi gunahgar ki tarah
ek ajnabi ne aa ke faza ko badal diya
basti pe chha gaya hai wo asrar ki tarah
ye bhi 'rais' apne muqaddar ki baat hai
milne ko wo mile bhi to aghyar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.