kuza-e-dard mein KHushiyon ke samundar rakh de
kūza-e-dard meñ ḳhushiyoñ ke samundar rakh de
apne hoñToñ ko mire zaḳhm ke uupar rakh de
itnī vahshat hai ki siine meñ ulajhtā hai ye dil
ai shab-e-ġham tū mire siine pe patthar rakh de
sochtā kyā hai use bhī mire siine meñ utaar
tujh se ye ho nahīñ saktā hai to ḳhanjar rakh de
phir koī mujh ko mirī qaid se āzād kare
mere andar se mujhe khīñch ke bāhar rakh de
jal rahā hai jo mire ḳhāna-e-jāñ ke andar
is diye ko bhī koī tāq-e-havā par rakh de
ai sabā de tū mire soḳhta-jānoñ ko ḳhirāj
un kī turbat pe hī kuchh barg-e-gul-e-tar rakh de
murda ahrāf bhī karte haiñ takallum 'shāhid'
apnā kuchh ḳhūn-e-jigar lafz ke andar rakh de
kuza-e-dard mein KHushiyon ke samundar rakh de
apne honTon ko mere zaKHm ke upar rakh de
itni wahshat hai ki sine mein ulajhta hai ye dil
ai shab-e-gham tu mere sine pe patthar rakh de
sochta kya hai use bhi mere sine mein utar
tujh se ye ho nahin sakta hai to KHanjar rakh de
phir koi mujh ko meri qaid se aazad kare
mere andar se mujhe khinch ke bahar rakh de
jal raha hai jo mere KHana-e-jaan ke andar
is diye ko bhi koi taq-e-hawa par rakh de
ai saba de tu mere soKHta-jaanon ko KHiraj
un ki turbat pe hi kuchh barg-e-gul-e-tar rakh de
murda ahraf bhi karte hain takallum 'shahid'
apna kuchh KHun-e-jigar lafz ke andar rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.