kuze mein ek samundar zarre mein ek jahan hai
kuuze meñ ik samundar zarre meñ ik jahāñ hai
kaise kahūñ ki hastī ik jins-e-rā.egāñ hai
ik samt zindagī kā jaltā huā makāñ hai
ik samt sahmā sahmā ḳhvāboñ kā āsmāñ hai
tūfān uTh rahā hai rah rah ke muddatoñ se
ik mauj kī taḌap meñ dariyā ravāñ-davāñ hai
kyā daao par lagā hai har lamha zindagī kā
har gaam marhala hai har saañs imtihāñ hai
iz.hār kyā karūñ maiñ is zindagī kā tum se
sahrā kī āñdhiy.oñ meñ ik ret kā makāñ hai
kuze mein ek samundar zarre mein ek jahan hai
kaise kahun ki hasti ek jins-e-raegan hai
ek samt zindagi ka jalta hua makan hai
ek samt sahma sahma KHwabon ka aasman hai
tufan uTh raha hai rah rah ke muddaton se
ek mauj ki taDap mein dariya rawan-dawan hai
kya dao par laga hai har lamha zindagi ka
har gam marhala hai har sans imtihan hai
izhaar kya karun main is zindagi ka tum se
sahra ki aandhiyon mein ek ret ka makan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.