Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya aasman se rabt-e-yaqin mahw-e-KHwab hai

Aurang zeb

kya aasman se rabt-e-yaqin mahw-e-KHwab hai

Aurang zeb

MORE BYAurang zeb

    kyā āsmāñ se rabt-e-yaqīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    soī huī hai ḳhāk-e-zamīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    hai niiñd meñ itā.at-o-irfāñ silsila

    sajdoñ ke saath saath jabīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    so.e hue to so.e haiñ dekho magar yahāñ

    jo jāgtā hai vo bhī kahīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    ye shahr gahrī niiñd meñ jaatā nahīñ kabhī

    har shaḳhs apne apne ta.iiñ mahv-e-ḳhvāb hai

    ik ik sitāra niiñd haibat meñ hai sharīk

    vo raat hai ki māh-e-mubīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    āñkhoñ se uTh rahā hai dhuāñ aur dhueñ se dukh

    jalte hue makāñ meñ makīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    parkār chal rahī hai kahīñ gahrī niiñd meñ

    ai 'zeb' merā hāshiya-bīñ mahv-e-ḳhvāb hai

    kya aasman se rabt-e-yaqin mahw-e-KHwab hai

    soi hui hai KHak-e-zamin mahw-e-KHwab hai

    hai nind mein itaat-o-irfan ka silsila

    sajdon ke sath sath jabin mahw-e-KHwab hai

    soe hue to soe hain dekho magar yahan

    jo jagta hai wo bhi kahin mahw-e-KHwab hai

    ye shahr gahri nind mein jata nahin kabhi

    har shaKHs apne apne tain mahw-e-KHwab hai

    ek ek sitara nind ki haibat mein hai sharik

    wo raat hai ki mah-e-mubin mahw-e-KHwab hai

    aankhon se uTh raha hai dhuan aur dhuen se dukh

    jalte hue makan mein makin mahw-e-KHwab hai

    parkar chal rahi hai kahin gahri nind mein

    ai 'zeb' mera hashiya-bin mahw-e-KHwab hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now