kya ab kisi ki aarzu ya justuju karen
kyā ab kisī kī aarzū yā justujū kareñ
ab ḳhud se hī savāl kareñ guftugū kareñ
koī to kaam aisā kareñ zindagī meñ ham
kuchh apne vāldain ko bhī surḳh-rū kareñ
Dāleñ nazar ham apne bhī aiboñ pe dostoñ
jab aa.ine ko apne kabhī rū-ba-rū kareñ
qudrat ke kārnāmoñ meñ hai kitnī dilkashī
lagtā hai bārishoñ meñ ki patte vuzū kareñ
ab ḳhatm kar de zindagī sāñsoñ kā silsila
ham apnī ḳhvāhishoñ kā kahāñ tak lahū kareñ
kya ab kisi ki aarzu ya justuju karen
ab KHud se hi sawal karen guftugu karen
koi to kaam aisa karen zindagi mein hum
kuchh apne waldain ko bhi surKH-ru karen
Dalen nazar hum apne bhi aibon pe doston
jab aaine ko apne kabhi ru-ba-ru karen
qudrat ke karnamon mein hai kitni dilkashi
lagta hai barishon mein ki patte wuzu karen
ab KHatm kar de zindagi sanson ka silsila
hum apni KHwahishon ka kahan tak lahu karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.