kya ab meri kahani mein
kyā ab mirī kahānī meñ
maiñ huuñ gale tak paanī meñ
jaise maiñ shāmil hī nahīñ
apnī sar-o-sāmānī meñ
merī tarah Thahregā kaun
sail-e-harf-o-ma.ānī meñ
rakkho mujhe ik tinke par
dekho mujhe tuġhyānī meñ
ik ā.īna toḌo aur
Daalo mujhe hairānī meñ
ik khañDar huuñ yādoñ kā
jhāñko mirī vīrānī meñ
be-pāyāñ be-hadd-o-hisāb
maiñ apnī jaulānī meñ
gard mirī sab tiir o ġhazāl
maiñ aage huuñ ravānī meñ
lutf mujhe aatā hai 'ramz'
apnī marsiya-ḳhvānī meñ
kya ab meri kahani mein
main hun gale tak pani mein
jaise main shamil hi nahin
apni sar-o-samani mein
meri tarah Thahrega kaun
sail-e-harf-o-maani mein
rakkho mujhe ek tinke par
dekho mujhe tughyani mein
ek aaina toDo aur
Dalo mujhe hairani mein
ek khanDar hun yaadon ka
jhanko meri virani mein
be-payan be-hadd-o-hisab
main apni jaulani mein
gard meri sab tir o ghazal
main aage hun rawani mein
lutf mujhe aata hai 'ramz'
apni marsiya-KHwani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.