kya ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi
kyā 'ajab fart-e-ḳhushī se hai jo giryāñ aadmī
kasrat-e-ġham meñ nazar aatā hai ḳhandāñ aadmī
qatra-e-be-māya lekin bahr-e-nā-paidā-kanār
zarra-e-nāchīz vus'at meñ bayābāñ aadmī
pur-sukūñ hālāt meñ ḳhāmosh sāhil kī tarah
shorish-e-jazbāt meñ mānind-e-tūfāñ aadmī
is kī vahshat kā mudāvā kar nahīñ saktā koī
ḳhud agar chāhe to ban saktā hai insāñ aadmī
ādmiyyat agle vaqtoñ meñ thī ik anmol shai
aaj ke hālāt meñ hai jins-e-arzāñ aadmī
zindagī kī saḳht rāhoñ kā safar darpesh hai
kārvāñ-dar-kārvāñ hai pā-ba-jaulāñ aadmī
apne zaḳhmoñ kā mudāvā ġhair mumkin to nahīñ
ai 'hazīñ' saare dukhoñ kā ḳhud hai darmāñ aadmī
kya 'ajab fart-e-KHushi se hai jo giryan aadmi
kasrat-e-gham mein nazar aata hai KHandan aadmi
qatra-e-be-maya lekin bahr-e-na-paida-kanar
zarra-e-nachiz wus'at mein bayaban aadmi
pur-sukun haalat mein KHamosh sahil ki tarah
shorish-e-jazbaat mein manind-e-tufan aadmi
is ki wahshat ka mudawa kar nahin sakta koi
KHud agar chahe to ban sakta hai insan aadmi
aadmiyyat agle waqton mein thi ek anmol shai
aaj ke haalat mein hai jins-e-arzan aadmi
zindagi ki saKHt rahon ka safar darpesh hai
karwan-dar-karwan hai pa-ba-jaulan aadmi
apne zaKHmon ka mudawa ghair mumkin to nahin
ai 'hazin' sare dukhon ka KHud hai darman aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.