kya ajab marne pe bhi ishq ki KHu sath rahe
kyā ajab marne pe bhī ishq kī ḳhū saath rahe
suukh bhī jaa.e agar phuul to bū saath rahe
kāñpte hāthoñ se dāmān-e-taqaddus na chhuTe
mai-kade jā.ūñ to ik zarf-e-vazū saath rahe
a ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ mirī jaañ tujh pe nisār
donoñ aalam mujhe hāsil haiñ jo tū saath rahe
ham gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna ko hai kaam se kaam
jām-o-sāġhar na sahī ek adū saath rahe
kuchh to anjām-e-mohabbat kī ḳhabar ho us ko
merā madfan jo miTāo to kadū saath rahe
chhoḌ jaatā hai koī apnī zarūrat kī chiiz
jā.ūñ masjid meñ jo maiñ jām-o-subū saath rahe
ashk-e-ḳhūnīn kā bhī taar na TuuTe a dil
zaḳhm-e-ġham ke liye ik tār-e-rafū saath rahe
qatra-e-ashk na ḳhālī rahe rañgīnī se
jab kabhī aañkh se nikle to lahū saath rahe
tujh pe khul jaa.e tire dil kī haqīqat zāhid
ek dam bhī jo koī ā.īna-rū saath rahe
tīr-e-sayyād na nikle tire dil se 'bedil'
toḌ kar nikle bhī dil ko to lahū saath rahe
kya ajab marne pe bhi ishq ki KHu sath rahe
sukh bhi jae agar phul to bu sath rahe
kanpte hathon se daman-e-taqaddus na chhuTe
mai-kade jaun to ek zarf-e-wazu sath rahe
a KHayal-e-ruKH-e-jaanan meri jaan tujh pe nisar
donon aalam mujhe hasil hain jo tu sath rahe
hum gada-e-dar-e-mai-KHana ko hai kaam se kaam
jam-o-saghar na sahi ek adu sath rahe
kuchh to anjam-e-mohabbat ki KHabar ho us ko
mera madfan jo miTao to kadu sath rahe
chhoD jata hai koi apni zarurat ki chiz
jaun masjid mein jo main jam-o-subu sath rahe
ashk-e-KHunin ka bhi tar na TuTe a dil
zaKHm-e-gham ke liye ek tar-e-rafu sath rahe
qatra-e-ashk na KHali rahe rangini se
jab kabhi aankh se nikle to lahu sath rahe
tujh pe khul jae tere dil ki haqiqat zahid
ek dam bhi jo koi aaina-ru sath rahe
tir-e-sayyaad na nikle tere dil se 'bedil'
toD kar nikle bhi dil ko to lahu sath rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.