kya ajab waraftagi hai
kyā ajab vāraftagī hai
baal dhartī nochtī hai
kuchh nahīñ tujh se ta'alluq
tū to 'bismil' ajnabī hai
siskiyāñ ye kah rahī haiñ
muflisī hai muflisī hai
ye anā tum ko mubārak
paas mere nīstī hai
jā nahīñ saktā maiñ sahrā
vaañ ajab dīvāngī hai
rābta hai us ḳhudā se
jis ne baḳhshī zindagī hai
ro rahā hai hañs rahā hai
dost ġham hai yā ḳhushī hai
ibtidā se intihā tak
bebasī hī bebasī hai
zindagī meñ terī 'bismil'
ḳhāmushī hī ḳhāmushī hai
kya ajab waraftagi hai
baal dharti nochti hai
kuchh nahin tujh se ta'alluq
tu to 'bismil' ajnabi hai
siskiyan ye kah rahi hain
muflisi hai muflisi hai
ye ana tum ko mubarak
pas mere nisti hai
ja nahin sakta main sahra
wan ajab diwangi hai
rabta hai us KHuda se
jis ne baKHshi zindagi hai
ro raha hai hans raha hai
dost gham hai ya KHushi hai
ibtida se intiha tak
bebasi hi bebasi hai
zindagi mein teri 'bismil'
KHamushi hi KHamushi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.