kya ba-yak-jumbish-e-nazar dega
kyā ba-yak-jumbish-e-nazar degā
sāġharoñ meñ vo pyaas bhar degā
chāñdnī raat māñgne vaalo
āsmāñ taptī dopahar degā
hue ik pal bhī sust-e-gām to vaqt
apnī raftār tez kar degā
tahī-āġhosh hai hisār-e-vajūd
ye sadaf kyā mujhe guhar degā
sū-e-maqtal baḌhe chalo ki vo aaj
dāvat-e-umr-e-mo'atabar degā
dostoñ 'ramz' se bachāo mujhe
varna vo merā ḳhuun kar degā
kya ba-yak-jumbish-e-nazar dega
sagharon mein wo pyas bhar dega
chandni raat mangne walo
aasman tapti dopahar dega
hue ek pal bhi sust-e-gam to waqt
apni raftar tez kar dega
tahi-aghosh hai hisar-e-wajud
ye sadaf kya mujhe guhar dega
su-e-maqtal baDhe chalo ki wo aaj
dawat-e-umr-e-mo'atabar dega
doston 'ramz' se bachao mujhe
warna wo mera KHun kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.