kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai
kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
kyā baat hai kyoñ zulf pareshān nahīñ hai
is bahs kā ab faisla āsān nahīñ hai
parde meñ lagāvaT bhī hai shoḳhī bhī hayā bhī
sab kuchh hai magar jins kā tūfān nahīñ hai
insān ke ausāf-e-hamīda ko na maane
ik mard-e-musalmān kī ye shaan nahīñ hai
phir pyaar kī tahrīk hai tūfān kī zad meñ
lekin mirā baazū abhī be-jān nahīñ hai
vāqif na ho īmān meñ taslīm-o-razā se
aisā bhī na.e daur kā insān nahīñ hai
jis shauq se maiñ ne tumheñ taslīm kiyā hai
insāf to kah sakte ho ehsān nahīñ hai
kya baat hai kyon zulf pareshan nahin hai
is bahs ka ab faisla aasan nahin hai
parde mein lagawaT bhi hai shoKHi bhi haya bhi
sab kuchh hai magar jins ka tufan nahin hai
insan ke ausaf-e-hamida ko na mane
ek mard-e-musalman ki ye shan nahin hai
phir pyar ki tahrik hai tufan ki zad mein
lekin mera bazu abhi be-jaan nahin hai
waqif na ho iman mein taslim-o-raza se
aisa bhi nae daur ka insan nahin hai
jis shauq se main ne tumhein taslim kiya hai
insaf to kah sakte ho ehsan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.