kya baat kahi kya baat suni kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai

kya baat kahi kya baat suni kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
Anwar Ali Khan Soz
MORE BYAnwar Ali Khan Soz
kyā baat kahī kyā baat sunī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
jab un se mile to kyā guzrī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
armān hazāroñ the dil meñ mā'lūm nahīñ nikle kyā kyā
aur kaun sī hasrat dil meñ rahī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
kis kis pe huā saaqī kā karam kis kis ko milā jiine kā maza
aur kis ke laboñ par aah rahī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
āñkhoñ meñ rahe kab tak aañsū kab tak tasvīr rahī un kī
kis tarh se ġham kī raat kaTī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
itnā to pata hai dekhā thā ai soz kisī ne hañs ke idhar
kab raakh hue kab aag lagī kuchh yaad nahīñ kuchh yaad bhī hai
kya baat kahi kya baat suni kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
jab un se mile to kya guzri kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
arman hazaron the dil mein ma'lum nahin nikle kya kya
aur kaun si hasrat dil mein rahi kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
kis kis pe hua saqi ka karam kis kis ko mila jine ka maza
aur kis ke labon par aah rahi kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
aankhon mein rahe kab tak aansu kab tak taswir rahi un ki
kis tarh se gham ki raat kaTi kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
itna to pata hai dekha tha ai soz kisi ne hans ke idhar
kab rakh hue kab aag lagi kuchh yaad nahin kuchh yaad bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.