kya bachaun tujhe kya luTaun tujhe muKHtasar zindagi
kyā bachā.ūñ tujhe kyā luTā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
ḳhud pe oḌhūñ ki nīche bichhā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
zarra zarra bikhar kar bhī āḳhir tujhe ḳhatm honā to hai
kyuuñ na yak-dam havā meñ uḌā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
terī khetī pe merā guzāra nahīñ bhuuk miTtī nahīñ
jī meñ aatā hai maiñ bech khā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
khīñchne kā jo va.ada kare saañs ko vasl ke pul talak
qissa-e-tūl-e-hijrāñ sunā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
tujh se aglī taraf maut kī vus.at-e-be-karāñ maujzan
tū hai dīvār sī chal girā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
chaar din kī hai mehmāñ mire paas tū mujh se rūThā na kar
naaz tere uThā.ūñ manā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
ain mumkin hai tū phail jaa.e yūñhī vus.at-e-jism meñ
rog kī tarah dil se lagā.ūñ tujhe muḳhtasar zindagī
kya bachaun tujhe kya luTaun tujhe muKHtasar zindagi
KHud pe oDhun ki niche bichhaun tujhe muKHtasar zindagi
zarra zarra bikhar kar bhi aaKHir tujhe KHatm hona to hai
kyun na yak-dam hawa mein uDaun tujhe muKHtasar zindagi
teri kheti pe mera guzara nahin bhuk miTti nahin
ji mein aata hai main bech khaun tujhe muKHtasar zindagi
khinchne ka jo wada kare sans ko wasl ke pul talak
qissa-e-tul-e-hijran sunaun tujhe muKHtasar zindagi
tujh se agli taraf maut ki wusat-e-be-karan maujzan
tu hai diwar si chal giraun tujhe muKHtasar zindagi
chaar din ki hai mehman mere pas tu mujh se ruTha na kar
naz tere uThaun manaun tujhe muKHtasar zindagi
ain mumkin hai tu phail jae yunhi wusat-e-jism mein
rog ki tarah dil se lagaun tujhe muKHtasar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.