kya bala sehr hain sajan ke nayan
kyā balā sehr haiñ sajan ke nayan
hai ḳhajil jis añge hiran ke nayan
mujh pe karte haiñ yaar kā jaadū
us sitamgār-e-sehr-e-fan ke nayan
gardish-e-mai suuñ aaj fāriġh hai
jin ne dekhe haiñ ḳhush-nayan ke nayan
aarzū meñ tirī ai nūr-e-nazar
muntazir huuñ khule haiñ man ke nayan
shor Daale haiñ saare aalam meñ
dilbar-e-shakkarīñ-suḳhan ke nayan
gul-e-nargis agar nahīñ dekhā
dekh yakbār gul-badan ke nayan
kyuuñ na hue hijr be-ḳhabar suuñ 'sirāj'
hosh khote haiñ man hiran ke nain
kya bala sehr hain sajan ke nayan
hai KHajil jis ange hiran ke nayan
mujh pe karte hain yar ka jadu
us sitamgar-e-sehr-e-fan ke nayan
gardish-e-mai sun aaj farigh hai
jin ne dekhe hain KHush-nayan ke nayan
aarzu mein teri ai nur-e-nazar
muntazir hun khule hain man ke nayan
shor Dale hain sare aalam mein
dilbar-e-shakkarin-suKHan ke nayan
gul-e-nargis agar nahin dekha
dekh yakbar gul-badan ke nayan
kyun na hue hijr be-KHabar sun 'siraj'
hosh khote hain man hiran ke nain
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 531)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.