kya banawaT ne nikale nai talwar ke hath
kya banawaT ne nikale nai talwar ke hath
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
kyā banāvaT ne nikāle na.ī talvār ke haath
ḳhuun barsāte haiñ mehñdī-bharī sarkār ke haath
ghoñTte dam meñ kisī tifl-e-tarahdār ke haath
o masīhā na lagānā dil-e-bīmār ke haath
maut likkhī thī magar abrū-e-ḳhamdār ke haath
merā paiġhām-e-ajal aatā hai talvār ke haath
kabhī hai tiir kī chuTkī kabhī talvār ke haath
nichle rahte hī nahīñ shoḳh sitamgār ke haath
terī baḳhshish hai to kyā garmī-e-mahshar se ḳhatar
gosha-e-dāman-e-rahmat hai gunahgār ke haath
khīñchtā hai koī dil meñ se tasavvur terā
uThte siine se nahīñ kyoñ tire bīmār ke haath
maiñ vo huuñ jins ki hotā nahīñ saudā merā
bechiye muft bhī gar mujh ko ḳharīdār ke haath
bait-e-abrū pe na.e til meñ ye mazmūñ hai aur
chaḌh ga.e raat kisī shā.ir-e-mai-ḳhvār ke haath
kashmakash bād-e-fanā bhī na ga.ī duniyā kī
ek ke haath se chhūTe to paḌe chaar ke haath
bul-havas chup hai jo āñchal ko tumhāre chhū kar
baat kuchh tah kī paḌī mahram-e-asrār ke haath
shāna kī dast-darāzī hai sitam kā bā'is
roz kaT jaate haiñ nāhaq yūñhīñ do-chār ke haath
na bachā sail-e-fanā se ye makān-e-ḳhākī
ik zamāne ne lagā.e dar-o-dīvār ke haath
na to dīñ-dār se matlab hai na kāfir se ġharaz
kab haiñ pāband yahāñ sub.ha-o-zunnār ke haath
ik zuleḳhā se bhalā qīmat-e-yūsuf kyā ho
bhaav baḌhtā hai magar garmī-e-bāzār ke haath
kah diyā āshiq-e-abrū ko musalmāñ kis ne
vo lagāne nahīñ dete mujhe zunnār ke haath
ab gale lagte haiñ be-sāḳhta un ke 'sho.ala'
yā lagāne nahīñ paate the kabhī haar ke haath
kya banawaT ne nikale nai talwar ke hath
KHun barsate hain mehndi-bhari sarkar ke hath
ghonTte dam mein kisi tifl-e-tarahdar ke hath
o masiha na lagana dil-e-bimar ke hath
maut likkhi thi magar abru-e-KHamdar ke hath
mera paigham-e-ajal aata hai talwar ke hath
kabhi hai tir ki chuTki kabhi talwar ke hath
nichle rahte hi nahin shoKH sitamgar ke hath
teri baKHshish hai to kya garmi-e-mahshar se KHatar
gosha-e-daman-e-rahmat hai gunahgar ke hath
khinchta hai koi dil mein se tasawwur tera
uThte sine se nahin kyon tere bimar ke hath
main wo hun jins ki hota nahin sauda mera
bechiye muft bhi gar mujh ko KHaridar ke hath
bait-e-abru pe nae til mein ye mazmun hai aur
chaDh gae raat kisi shair-e-mai-KHwar ke hath
kashmakash baad-e-fana bhi na gai duniya ki
ek ke hath se chhuTe to paDe chaar ke hath
bul-hawas chup hai jo aanchal ko tumhaare chhu kar
baat kuchh tah ki paDi mahram-e-asrar ke hath
shana ki dast-daraazi hai sitam ka ba'is
roz kaT jate hain nahaq yunhin do-chaar ke hath
na bacha sail-e-fana se ye makan-e-KHaki
ek zamane ne lagae dar-o-diwar ke hath
na to din-dar se matlab hai na kafir se gharaz
kab hain paband yahan subha-o-zunnar ke hath
ek zuleKHa se bhala qimat-e-yusuf kya ho
bhaw baDhta hai magar garmi-e-bazar ke hath
kah diya aashiq-e-abru ko musalman kis ne
wo lagane nahin dete mujhe zunnar ke hath
ab gale lagte hain be-saKHta un ke 'shoala'
ya lagane nahin pate the kabhi haar ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.