kya bataen KHud ko kyon barbaad karte rah gae
kyā batā.eñ ḳhud ko kyoñ barbād karte rah ga.e
umr bhar ik shaḳhs kī imdād karte rah ga.e
chand ġhazleñ likh ke un ko shohrateñ hāsil huiiñ
aur ham bas dard kā anuvād karte rah ga.e
rāste bilkul ġhalat phir bhī unheñ manzil milī
ham sahī rastoñ ko hī ījād karte rah ga.e
dekhiye maalī ne phūloñ ko masal kar rakh diyā
aur ham ik fāḳhta āzād karte rah ga.e
ek chehra jo mirī āñkhoñ meñ ghar kartā rahā
bas usī chehre ko 'satya' yaad karte rah ga.e
kya bataen KHud ko kyon barbaad karte rah gae
umr bhar ek shaKHs ki imdad karte rah gae
chand ghazlen likh ke un ko shohraten hasil huin
aur hum bas dard ka anuwad karte rah gae
raste bilkul ghalat phir bhi unhen manzil mili
hum sahi raston ko hi ijad karte rah gae
dekhiye mali ne phulon ko masal kar rakh diya
aur hum ek faKHta aazad karte rah gae
ek chehra jo meri aankhon mein ghar karta raha
bas usi chehre ko 'satya' yaad karte rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.