kya bataen ki humne kya dekha
kyā batā.eñ ki ham ne kyā dekhā
kaun zāhir kise chhupā dekhā
zarre zarre meñ hai kahīñ maujūd
aur kahīñ sab se vo judā dekhā
jo kisī ne zabāñ se farmāyā
sach har ik lafz bā-ḳhudā dekhā
koī sūrat jo yaad aa.ī hameñ
jhāñk kar dil kā aa.ina dekhā
ḳhvāb kī pūchhte haiñ ta.abīreñ
ye batāte nahīñ ki kyā dekhā
haañ isī din ko rokte the 'nasīm'
ġhair ko tum ne aazmā dekhā
kya bataen ki hum ne kya dekha
kaun zahir kise chhupa dekha
zarre zarre mein hai kahin maujud
aur kahin sab se wo juda dekha
jo kisi ne zaban se farmaya
sach har ek lafz ba-KHuda dekha
koi surat jo yaad aai hamein
jhank kar dil ka aaina dekha
KHwab ki puchhte hain tabiren
ye batate nahin ki kya dekha
han isi din ko rokte the 'nasim'
ghair ko tum ne aazma dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.